Saturday, 14 September 2013

Kyun hai...


Har chaap teri aahatein hain, har aahat be-chaini kyun hai //
Main khyaal mein tere uljha hoon, tu mujhse be-shanaasa kyun hai...

Har gaam teri yaadein hain, har su tera chehra hai //
Main tera deewaan to hoon, tu mujhse begaana kyun hai...

Har shab tere khwaab hain, har samt tera charcha hai //
Main tujhse juda to hoon, tu mujhse juda kab hai...

Har lab pe teri baatein hain, har halq pe tera naam hai //
Main tujh pe fida kyun hoon, tu mujhse khafaa kyun hai...

Har waqt teri hasratein hain, har lamha bas izteraab hai //
Main saans to leta rehta hoon, tu dekh deewaana zinda kyun hai...

2 comments: