Saturday, 28 September 2013

Kabhi yunhi be-wajah mila karo...


 Har mulaaqat ki wajah poochhte ho, har muskuraahat ka sabab dhoondte ho...
Kabhi yunhi be-wajah mila karo, kabhi yunhi be-saakhta hansaa karo...

Ye tumhaare chehre pe jo malaal hai, ye jo ruki-ruki si chaal hai...
Kabhi khul ke humse gilaa karo, kabhi bhar ke jee ro liyaa karo...

Ye jo tumhaari reshmi si zulf hai, ye jo pech-o-kham si balaayein hain...
Kabhi in laton ko rihaa kiya karo, kabhi humko giraft-e-zulf kiya karo...

Wo jo dasht-o-sahraa ki ret hai, jahaan humaare qadmon ke nishaan hain...
Jo humne paaye the ishq mein, kabhi un aablon ka haal poochh liyaa karo...

Wo humaare dilon ki nazdikiyaan, wo tumhaari bhali si shokhiyaan...
Wo jo waqt guzaare the saath mein, kabhi un lamho ko phir jiya karo...

Ab na wo ishq hai na wo chaah hai, faqt ab is dil se nikalti aah hai...
Kabhi hum bhi the tere aashnaa, kabhi hum pe bhi nigaah kiya karo...

Teri raah mein teri hi chaah mein, tere us nargisi jamaal mein...
Main ab bhi shaayed hoon mubtilaa, kabhi mujhko bhi rihaa karo...

No comments:

Post a Comment