Friday, 6 April 2012

Na jaane kyun....

Zakm gin raha tha aaj, apne jigar ke //
Na jaane kyun tum, yaad beshumaar aaye....

Ek butt banane baitha, patthar taraash ke //
Na jaane kyun phir tera, chehra nazar aaye...

Do pal ko saans leta, dhadkan sambhaal ke //
Na jaane kyun teri, khushbu hawa mein aaye...

Kaanto se bachke chal diya, daaman nikaal ke //
Na jaane kyun ye kaliyaan, lipti chali aaye...

Kuchh door hi chalaa tha, raasta talaash ke //
Na jaane kyun qadam phir, teri gali le aaye...

Thursday, 5 April 2012

Aankhon ka intezaar...

Kitni dafaa neend se hueen ye bojhal aakhein //
Na jaane phir bhi kiske intezaar mein khuli raheen aankhein...

Har dafaa uth'ti hain bade tapaak se ye aankhein //
Har su naa jaane kisko ye dhundhti aankhein...

Kaee dafaa phir paani se chhalkti ye aankhein //
Na jaane phir kuchh soch ke hain gumsum aankhein....

Hazaar dafaa darwaaze se nukkad tak jaati aankhein //
Phir laut ke haatheliyon mein chhup gaeen aankhein...

Kab tak tera rastaa dekhein ye tarasti aankhein //
Ab to aa jaa ai sitamgar ke bilakhti aankhein...

Monday, 2 April 2012

Yun hi kabhi.....


Yun hi kabhi tujhe soch loon, Yun hi kabhi tere naam loon //
Yun hi kabhi mujhe dekh le, Yun hi kabhi mere paas aa...

Yun hi kabhi meri nazar utthe, Yun hi kabhi teri deed ho //
Yun hi kabhi ik dard utthe, yun hi kabhi dil thaam loon...

Yun hi kabhi kahin mehfil saje, yun hi kabhi ik shamma raushan ho //
Yun hi kabhi koi tera zikr kare, yun hi kabhi meri taraf nigaahein utthe...

Yun hi kabhi kisi safar mein hon, yun hi kabhi tera saath ho //
Yun hi kabhi haathon mein haath ho, yun hi kabhi manzil pata nah ho..

Yun hi kabhi kisi mod per, yun hi kabhi tu mujhe chhod de //
Yun hi kabhi teri raah takoon, Yun hi kabhi shayad tu laut aa...

Yun hi Kabhi zindagi ki raan mein, yun hi kabhi tujhse mulaaqat ho //
Yun hi Kabhi ik aah ka shor utthe, yun hi kabhi parvaaz ho jaaye...

Sunday, 1 April 2012

Ab tak zinda hun....

Hai bas ke kuchh armaan ke ab tak zinda hun //
Ye nahi hai ke dil dhadkta hai isliye zinda hun...

Kuchh tabeer ka intezaar hai ke ab tak zinda hun //
Ye nahi ke kuchh khwaab dekhne the isliye zinda hun...

Kuchh haseen sehar ka intezaar hai ke ab tak zinda hun //
Ye nahi ke gham ki raat dhal chuki hai isliye zinda hun...

Wo ek saath ka intezaar hai ke ab tak zinda hun //
Ye nahi ke ek bheed hai isliye zinda hun...