Tuesday, 18 June 2013

Waqt be-waqt khayaalon mein chali aati ho...




Waqt, be-waqt, khayaalon mein chali aati ho //
kuchh to taraddud zaroori hai abhi...




Suni, un-suni, tasavvur mein kahe jaati ho //
kuchh to asraar zaroori hai abhi...


Jaan, be-jaan, mujhe chhode jaati ho //
kuchh to iltifaat zaroori hai abhi...



Kahi, an-kahi, chaahatein mita jaati ho //
kuchh to bhram zaroori hai abhi...



Wajah, be-wajah, uljhanein badhaati ho //
kuchh to aashti zaroori hai abhi...



Chand, har-chand, tishnagi badhaati ho //
kuchh to raahat zaroori hai abhi...


[Taraddud: Hesitation, Asraar: Secrets, Iltifaat: Kindness, Bhram:  Illusion, Aashti: Tranquility, Chand: A little, Har-chand: As often as, Tishnagi: Thirst ]

Wednesday, 12 June 2013

Wo ghazal mukammal ho na saki...

Kuchh alfaaz adhure se reh gaye, wo ghazal mukammal ho na saki.

Chand khwaab bikhar ke reh gaye, wo taabeer mukammal ho na saki.

Kaee rang chhalak ke reh gaye, wo tasveer mukammal ho na saki.

Kuchh ehsaas sulag ke reh gaye, wo aarzoo mukammal ho na saki.

Do aankhein baras ke reh gaeen, wo deed mukammal ho na saki.

Wo baatein adhuri si reh gaeen, wo guftugu mukammal ho na saki.

Kuchh aayetein adhuri si reh gaeen, wo duaa mukammal ho na saki.

Wo tasavvur toot ke reh gaya, wo khwaahishein mukammal ho na saki.

Wo sang chhitak ke reh gaya, wo butt mukammal ho na saki.


Humsafar chhut'te reh gaye, wo zindagi mukammal ho na saki.