Sunday, 24 February 2013

Ab to tum aati ho ya maut aati hai...


Ab na zindagi mujh se jee jaati hai,
ab na tum aati ho na yaad jaati hai...

Ab na seene se saans nikalti hai,
ab na jaan aati hai na jaan jaati hai...

Ab na mujhse khwaab dekhe jaate hain,
ab na khwaab aate hain na neend aati hai...

Ab na be-qarari ki raat kat'ti hai,
ab na chain aata hai na aaas jaati hai...

Ab na jeene ki koi wajah baaqi hai,
ab to tum aati ho ya maut aati hai...

Sunday, 3 February 2013

Aur saath mere tanhaai hai...


Ek bheed si duniya mein, aur saath mere tanhaai hai...

Ye ranginiyaan fizaaon mein, aur nazar meri dhundhlaai hai...

Sau phool khile gulshan mein, aur raah mere khaar aaee hai...

Ye chaand sitaare aasmaano mein, aur raat meri andhiyaai hai...

Kaee aks dikhe andheron mein, kis aks mein teri parchhaai hai...

Hazaaron mod is raigaan safar mein, har mod per ruswaai hai...

Hain roshniyaan zamaane mein, aur saamne mere teergi chhaai hai...

Kitne khwaab hai inn aankhon mein, aur aankh meri pathraai hai...

Har aahat pe dhadkan dil mein, aur naam tera lab pe laai hai...

Ab bhi maujood tu meri sochon mein, maana ke tu daghaai hai...

Jab bhi yaadein chhalki inn aankhon mein, teri yaad ki chali purvaai hai...